BREAKING NEWS

Featured

Allama Iqbal

Alone Fairy

Anamika

Saturday, July 26, 2014

Churao Nazren Churao Daman

Churao Nazren Churao Daman

Aik Hi Shakhs Tha Jahan Main Kia ( Poetry by John Elia n Designed by Nida's Art )

Click on pic for full view
Ye Mujhe Chain Kyon Nahi Parta
Aik Hi Shakhs Tha Jahan Main Kia
John Elia

Friday, July 25, 2014

Khamoshi Dair Tak Nahi Tooti ( Poetry by Kanwal Hussain n Designed by Ahmad Ali )

Click on pic for full view
Khamoshi
Dair Tak Nahi Tooti
Jaan Leva Bara Tha Sannata
Main Ne Ghabra K Aaina Dil Ka
Hath Se Patharon Pe Phaink Diya
Kanwal Hussain

Wednesday, July 23, 2014

Tumhain Jane Ki Jaldi Hai ( Poetry by Fakhra Gul n Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Tumhain Jane Ki Jaldi Hai
Wgarna
Judai Ki Sabhi Rasmain
Chalo Hum Bhi Nibha Lete
Wo Sari Ankahi Baten
K Jin Ka Bojh Hai Dil Per
Wo Sab Tum Ko Suna Dete
Tumhain Ye Bhi Bata Dete
K Tum Bhi Zindagi Apni
Faqat Ik Istara Hai
Magar Ab Sochte Hain Hum
Tumhain Jane Ki Jaldi Hai
To Phir Yon Hi Sahi Lekin
Kabi Ye Sochna Bhi Mat
Tumhain Wapis Bulaen Gey
Ye Tum Bhi Jante Ho Gey
K Wapis Aane Walon Main
Wo Apna Pan Nahi Rehta
Wo Chalna Sath Chahen To
Kabi Manzil Nahi Milti
Kabi Rasta Nahi Milta
To Bas Tum Ko Batana Hai
Nibhana Apni Baton Ka Bharam
Hum Ko Bhi Aata Hai
Ye Maana Bin Tumhare
Saans Ka Aana Bhi Mushkil Hai
Magar Tum Dekhna Janaa
Tumhain Jee Kar Dikhaen Gey
K Jeena Sab Ko Aata Hai
Fakhra Gul

Saturday, July 19, 2014

Agar Par Jaye Aadat Aap Apne Sath Rehne Ki ( Designed by Nomi Khan )

Click on pic for full view
Agar Par Jaye Aadat Aap Apne Sath Rehne Ki
Ye Sath Aisa Hai K Insan Ko Tanha Nahi Hone Deta
Zameen Pairon Se Kitni Bar Din Main Nikalti Hai
Main Aise Hadson Per Dil Magar Chota Nahi Karta

Friday, July 18, 2014

Aao Baten Karen ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Aao Baten Karen
Un Ki Baten Karen
Ah Jin K Baghair Apni Ye Zindagi Bemaza Ho Gai
Aur Juda Ho Gaye
Rahaton K Wo Din Chahaton K Wo Din
Aalam-e-Khawab Main Jo Guzar Hi Gaye
Tum Humari Suno Hum Tumhari Sunen
Dard Ki Dastan
Karb Wo Bekaran
Dil Pe Jo Baar Hai
Le K Chalna Jise Sath Dushwar Hai
Jo Na Ho Km Magar
Sath Do Tum Agar
Lamha Bhar Ko Sahi Aik Pal Ko Sahi
Kuch Sakoon To Mile Ye Janoon To Taley
Go K Hum Jante Hain Ye Sab
Baat Karne Se To Baar Ghat'ta Nahi
Bantne Se Kabi Dard Bat'ta Nahi
Phir Bhi Baten Karen
Dil Ki Baten Karen
Aao Baten Karen
Nusrat Naseem

Wednesday, July 16, 2014

Phir Kon Bhala Daad-e-Tabassam Inhain De Ga ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Nomi Khan )

Click on pic for full view
Phir Kon Bhala Daad-e-Tabassam Inhain De Ga
Roen Gi Bohat Mujh Se Bichar Kar Teri Aankhen
Mohsin Naqvi

Creative Sign

Creative Sign
 
Copyright © 2014 Check Template. Template Designed by OddThemes - WP Themes