BREAKING NEWS

Featured

Showing posts with label Sadness. Show all posts
Showing posts with label Sadness. Show all posts

Wednesday, July 9, 2014

Mohabbat Goliyon Se Boh Rahe Ho ( Poetry by Habib Jalib n Designed by Ali Abbasi )

Click on pic for full view
Mohabbat Goliyon Se Boh Rahe Ho
Watan Ka Chehra Khoon Se Dho Rahe Ho
Gumaan Tum Ko K Rasta Katt Raha Hai
Yaqeen Mujh Ko K Manzil Kho Rahe Ho
Habib Jalib

Saturday, June 21, 2014

Khud Kalami Main Is Qadar Wehshat ( Designed by Bisma's Art )

Click on pic for full view
Khud Kalami Main Is Qadar Wehshat
Koi Dushman RuBaru Ho Jaise

Thursday, May 15, 2014

Waqt-e-Maghrab Hai Ye ( Poetry by Noshi Gillani n Designed by Pasha Shah )

Click on pic for full view
Waqt-e-Maghrab Hai Ye
Hath Uthte Nahi Hain Dua K Liye
Zabt-e-Gham Thak Gia
Hosla Batt Gia
Aik Heran Thehri Hui Ye Fiza
Na Koi Wisal Ka Khawab Aankhon Main
Na Koi Hijer Ki Sham Yadon Main Hai
Sajda-e-Ishq Bhi
Aaj Meri Jabeen Per Simatne Laga
Wo Jo Badal Yaqeen Ka Tha Chatne Laga
Sans Rukne Lagi Dil Bhatakne Laga
Ay Mere Rab Mehr-o-Wafa
Ik Nazar
Ho Koi Mojza
Waqt-e-Maghrab Hai Ye
Hath Uthte Nahi Hain Dua K Liye
Noshi Gillani

Monday, May 12, 2014

Hum Ne Ilaj-e-Zakham-e-Dil Ko Dhoond Liya Lekin ( Designed by Shahid Ali Kiani )

Click on pic for full view
Hum Ne Ilaj-e-Zakham-e-Dil Ko Dhoond Liya Lekin
Gehre Zakhmon Ko Bharne Main Waqt To Lagta Hai

Tuesday, April 22, 2014

Mousam Us Din Kyon Roya Tha ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Passion Creations )


Aaj Bhi Waise Hi Badal Hain
Aaj Bhi Waisa Hi Mousam Hai
Jab Hum Pehli Baar Mile They
Yaad Hai Hum Ne Ye Socha Tha
Hum Ko Milte Dekh K Mousam
Itna Khush Hai, Itna Khush K
Us Ki Aankhen Bheeg Gai Hain
Aaj Magar Hum Jaan Gaye Hain!
Mousam Us Din Kyon Roya Tha
Aatif Saeed

Friday, April 11, 2014

Khud Badal Gia Us Ki Nazar Badalne Tak ( Designed by Black Pearl )

Kamal Us Ne Kiya Aur Main Ne Had Kar Di
K Khud Badal Gia Us Ki Nazar Badalne Tak

Saturday, March 15, 2014

Ranjishen Hi Sahi Dil Hi Dukhane K Liye Aa ( Poetry of Ahmed Faraz n Designed by Fozi Creations )

Ranjishen Hi Sahi Dil Hi Dukhane K Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chor K Jane K Liye Aa
Kis Kis Ko Bataen Gey Judai Ka Sabab Hum
Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane K Liye Aa
Ahmed Faraz

Friday, January 31, 2014

Kash! Khushiyon Ki Tarha Dard Bhi Hijrat Karte ( Designed By Pasha Shah )

Qaafley Raakh Huey Dasht-e-Janoon Main Kitne
Kash! Khushiyon Ki Tarha Dard Bhi Hijrat Karte
 
Copyright © 2014 Check Template. Template Designed by OddThemes - WP Themes